Listen online or download "Buss Ya Hussain" Noha in MP3
The Noha "Buss Ya Hussain" by Nadeem Sarwar is a deeply emotional recitation that remembers the sacrifices made in Karbala. The way it's recited touches the heart and brings tears to the eyes, especially during Muharram when people reflect on the pain and sorrow of Imam Hussain (A.S) and his companions.
Whether you want to stream online or download and listen later, we've made it easy for you
Buss Ya Hussain Noha - Download & Listen Online
- Title: Buss Ya Hussain
- Category: Noha
- Language:Urdu
- Year: 2008
- Recited By: Nadeem Sarwar
💬 Lyrics (Buss Ya Hussain)
Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain Ya Hussain Ay Hurr Kisy Mili Yeh Shahadat Ki Zaib O Zain Bali Py Tere Aai Hain Khud Madar E Hussain Is Martaby Ky Bad To Sab Tujh Ko Mil Gaya Ay Hurr Hussain Mil Gaye Rab Tujh Ko Mil Gaya Kuch Nahi Mila Usy Tu Nahi Mila Jisy Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya Buss Ya Hussain Yeh Bas Hussain Ki Ata Yeh Bas Hussain Ka Jigar Jo Kar Diya Woh Motabar Jo Dy Diya To Sara Ghar Karam Hussain Ka Karam Kisi Py Ho Gaya Agar Mily Kisi Ko Bal O Par Kisi Ko Mil Gaya Pisar Hurr Bana Diya Usy Jo Ek Bar Mil Gaya Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya Buss Ya Hussain Adam Ki Poori Nasl Py Ehsan Kon Tha Jis Par Khuda Ko Naaz Woh Insan Kon Tha Kunby Ky Sath Deen Py Qurban Kon Tha Nok E Sinan Py Qari E Quran Kon Tha Ay Karbala Bata Tera Mehman Kon Tha Bass Ya Hussain Buss Hussain Ka Jisy Yeh Ikhtiar Mil Gaya Yeh Ikhtiar Kitna Waseeh O Buland Hai Sara Jahan Hussain Ki Muthi Mein Band Hai Badla Hai Karbala Mein Taqaza E Inqelaab Naizey Py Ab Jo Sar Hai Wohi Sar Buland Hai Aiwan E Inbisaat Mein Jannat Na Kar Talash Yeh To Gham E Hussain Ky Aansoo Mein Band Hai Bass Ya Hussain Dastan Hussain Ki Samajh Mein Aa Gai Agar To Hurr Ki Rehguzaar Par Kary Ga Ishq Ka Safar Tarhap Tarhap Uthy Ga Tu Kahy Ga Rat Rat Bhar Hussain Buss Hussain Hai Sinan Py Ya Zameen Par Shah E Karbala Sy Jis Ky Dill Ka Taar Mil Gaya Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya Ek Dopehr Mein Jis Ny Bhara Ghar Luta Diya Nazaan Khuda Hai Jis Py Woh Sajda Ada Kiya Apny Lahu Sy Khak Ko Khak E Shifa Kiya Ashor Aik Roz Tha Sadion Py Chaa Gaya Karbobala Ko Arsh E Mualla Bana Diya Buss Ya Hussain Salam Ya Hussain Rab Ka Aitbar Mil Gaya Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya Jab Ran Mein Zulfiqar E Ali Nagahaan Chali Bich Bich Gaiin Safon Py Safen Woh Jahan Chali Chamki To Is Taraf Udhar Aai Wahan Chali Deny Ko Dad Arsh Sy Pyasy Ki Maan Chali Muddat Ka Taal Mail Tha Barson Ka Sath Tha Jaisi Woh Zulfiqar Thi Wesa Hi Hath Tha Kha Kha Gai Safon Ko Jidhar Ai Zulfiqar Geh Chup Gai To Gaah Nazar Ai Zulfiqar Sar Par Chamak Ky Taaban Qamar Aai Zulfiqar Zee Kaat Kar Zameen Py Utar Ai Zulfiqar Phir To Yeh Ghul Ai Ky Duhai Hussain Ki Allah Ka Ghazab Hai Larhai Hussain Ki Hussain Ya Hussain Aai Nida E Ghaib Ky Shabbir Marhaba Is Hath K Liye Thi Yeh Shamsheer Marhaba Yeh Aabroo Yeh Jang Yeh Toqeer Marhaba Bass Bass Hussain Bas Mere Dilgeer Marhaba Waqt E Namaz E Asr Hai Takbeer Marhaba Bass Ya Hussain Bass Ya Hussain Labbaik Keh Ky Taigh Rakhi Sheh Ny Nyam Mein Palti Sipah Aai Qayamat Jahan Mein Log Khanjaron Mein Taighon Mein Bharon Mein Ghir Gaye Tanha Hussain Barchion Walon Mein Ghir Gaye Hussain Ya Hussain Rehan O Sarwar E Hazeen Suno Yeh Aisa Raz Hai Hussain Keh Rahy Thy Buss Khuda Py Mujh Ko Naaz Hai Na Bhai Na Pisar Raha Na Koi Chara Saaz Hai Azan Hai Hussain Hai Khuda E Bey Nyaz Hai Na Zeen Na Zameen Par Yeh Akhri Namaz Hai Hussain Ya Hussain Jis Ky Dill Mein Hussain Rehta Hai Farsh Majlis Ka Jo Bichata Hai Jo Bhi Noha Kahin Sunata Hai Ly Ky Nam E Hussain Rota Hai Us Ko Zehra Salam Karti Hai
Visit our full Noha collection to listen and download more recitations for Muharram 2025.