Listen online or download "Azadar" Noha in MP3
The Noha "Azadar" by Nadeem Sarwar is a deeply emotional recitation that remembers the sacrifices made in Karbala. The way it's recited touches the heart and brings tears to the eyes, especially during Muharram when people reflect on the pain and sorrow of Imam Hussain (A.S) and his companions.
Whether you want to stream online or download and listen later, we've made it easy for you
Azadar Noha - Download & Listen Online
- Title: Azadar
- Category: Noha
- Language:Urdu
- Year: 2018
- Recited By: Nadeem Sarwar
💬 Lyrics (Azadar)
Hussain... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain, Hussain Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2) Maula, Maula salaam aap pe sadd baar ya hussain sab ishq e hussaini mein hai sar shaar ya hussain sab pe ho karam aapka sarkaar ya hussain hazir hai, hazir hai hazir hai azadar, azadar ya hussain azadar..(5) Maula tum hamare, maula hum tumhare..(2) Hum charagh e mustafa ke parwane, aye zamane azadar, azadar, azadar Panjetan ke naam ke hai deewane, aye zamane hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) jiye jiye jiye karbala, jiye ya hussain, jiye azadar 1. Haan.. Makka, madina o najaf, karbala ishq e khuda ka hai yehi raasta Fatema, Hasnain, Ali lafatah qibla e mann naaqa Rasule khuda ek sukhan, ek lagan, ek zabaa'n, ek dahan Panjetan ke naam par nisaar hai hum hai wafadar e khuda, naam e Mohammad pe fida Khatim e rasool e kirdigaar hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) hussain jaan hussain..(2) hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain hussain jaan hussain..(2) hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain 2. Haan... Haan mai wafadaar hu shabbir ka haan mai azadar hu shabbir ka munis o ghumkhwaar hu shabbir ka matami zawwar hu shabbir ka ashk e aza, meri dawa, farsh e wila, ishq mera hum dar e maula ke talabgaar hai pehne hue shaal e aza, dil mein liye karbobala maula tere qaafle tayyar hai hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) 3. Haan... Karbobala kya hai batate chalo momino is ghum ko manate chalo farsh e aza milke bichate raho parcham e abbas utha te raho milke raho, milke chalo, aisa bano, aisa karo jaisa ke qur'aan ka farmaan hai haq pe jiyo, haq pe maro, pyaar karo, saath raho karbobala ki yehi pehchaan hai hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) jiye jiye jiye karbala, jiye ya hussain, jiye azadar 4. Haan... Saara jaha'n halqa e matam mein hai ghum ki fiza maah e moharram mein hai ishq e khuda pyaas ke mausam mein hai maula mera dard ke aalam mein hai aao chale, karbobala, karne ko matam ye bapa parchame abbas nigehbaan hai aati hai zainab ki sadaa, aagaya jo karbobala fatema zehra ka wo mehmaan hai hamara dil, hamari jaa'n hamari ek hi zabaa'n hai hamare seeno par likha hua azadare hussain, azadar e hussain, azadar e hussain azadar..(5) hussain jaan hussain..(2) hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain hussain jaan hussain..(2) hussain jaan hussain, jaan hussain, jaan hussain 5. Haan.. Badhta rahe qafela shabbir ka marhala dar marhala dar marhala tay ho safar sarwar o rehan ka silsila dar silsila dar silsila chaman chaman, kali kali, nagar nagar, gali gali maqsad e shabbir batate chalo hoga karam, qadam qadam, leke chalo, shaah ka ghum parcham e abbas uthate chalo salaam ya hussain salaam ya hussain azadar..(5) Maulaa..... Anmol la zawaal ye rishta hai azadar khadim hai azadar to aaqa hai ya husssain Wallah, Wallah Anmol o la zawaal ye rishta hai azadar khadim hai azadar to aaqa hai ya husssain Ya hussain Duniya mein jo hussain ka banta hai azadar naslo ko ba muraad banata hai ya hussain Ya hussain Jo bhi ghum e hussain manata hai azadar uske sabhi ghumo ko mitata hai ya hussain Ya hussain Farshe azaa jo ghar mein bichata hai azadar ghar aise khushnaseeb ke aata hai ya husssain Ya hussain Matam jo sheh ka dhoop mein karta hai azadar daman mein usko apne chupata hai ya hussain Ya hussain Abbas ka alam jo uthata hai azadar usko wafa sheyaar banata hai ya hussain Ya hussain Rutba agar shaheed ka paata hai azadar markar bhi jeena usko sikhata hai ya hussain Ya hussain Jo rizq bhi naseeb se pata hai azadar deta khuda hai aur dilata hai ya hussain Ya hussain Labbaik ya hussain jo kehta hai azadar zawwar usko apna banata hai ya hussain Ya hussain Salam ya hussain..(3) Salam salam salam ya hussain..(4) Salam ya hussain
Visit our full Noha collection to listen and download more recitations for Muharram 2025.