Listen online or download "Zafar E Jinn" Noha in MP3
The Noha "Zafar E Jinn" by Mir Sajjad Mir is a deeply emotional recitation that remembers the sacrifices made in Karbala. The way it's recited touches the heart and brings tears to the eyes, especially during Muharram when people reflect on the pain and sorrow of Imam Hussain (A.S) and his companions.
Whether you want to stream online or download and listen later, we've made it easy for you
Zafar E Jinn Noha - Download & Listen Online
- Title: Zafar E Jinn
- Category: Noha
- Language:Urdu
- Year: 2025
- Recited By: Mir Sajjad Mir
💬 Lyrics (Zafar E Jinn)
Ae Zafar Jin, Ae Zafar Jin Zafar main lut gaya, mera koi nahi raha Main jee ke kya karunga, mera kaun hai bacha Zafar tumhein dikhaun kahan had-e-sabr hai Dekho woh samne Ali Asghar ki qabr hai Chehre pe uska khoon hai, maine mila hua Zafar na poochho kaise zameen par hain yeh nishaan Ragdi yahan pe hain Ali Akbar ne ediyan Yeh khaak par hai khoon usi ka gira hua Hamaare jaan-o-jigar the Ali Akbar Hamaare noor-e-nazar the yahi Ali Akbar Hamaare rashk-e-qamar the yahi Ali Akbar Hamaare sher the, pisar the yahi Ali Akbar Hue zaeef, kidhar jaayein hum, asa raha Hamaari zindagi ka Zafar koi maza na raha Tum se zyada rakhta tha taqat woh ba-wafa Yoon khul ke apne bhai ko larnay nahi diya Kat kar bhi uska haath na talwar se hata Laashon ke darmiyan hai jo ghatri rakhi hui Zafar usi mein laash hai Farwa ke laal ki Qasim hamaara ghoron se paamaal ho gaya Pehla yahan pe, doosra baazu yahan kata Mashkiza yahan chhida, wahan gurz-e-garaan laga Ran mein hua hai chaar jagah qatl ba-wafa Yeh mayyatein hain Aun-o-Muhammad ki be kafan Do aansu tum bhi nazar karo, jee uthe bahan Laashon pe unke royi nahi Bint-e-Murtaza Pehchante ho? Kis ka yeh laasha hai khoon bhara Khat likh ke hum ne unko bulaya tha Karbala Dekho, mere Habeeb ko bhi le gayi qaza Tehreer ek nikaal ke kehne lage Imam Sab ko likha Dukhtar-e-Mazloom ne salaam Kuch der pehle khat humein Sughra ka hai mila Nigaah thi taraf-e-aasman, chale Hazrat Jahan kharay, wahi aaye phir zahe qismat Kaha sabon se mulaqat ho to ki rukhsat Farishtay jaayein falak par, Nabi sooye jannat Jidhar se laaye hain tashreef, sab udhar jaayein Faqat yahan Malak-ul-Maut ab nazar aayein Sajjad bole Maula ke manzil qareeb hai Khanjar qareeb, zanoo-e-qaatil qareeb hai Ja ab chala ja, aati hain Maqtal mein Fatima
Visit our full Noha collection to listen and download more recitations for Muharram 2025.